Thursday, June 11, 2009

Poetry

Poetry

Writer: Romeo


ham jo tootay to is tarha tootay
jesay hathon say gir k pathar pay

koi shafaaf aaina tootay
jesay palkon say toot'ta aansoo

jesay seenay mein ik gumaa'n tootay
jesay umeed ki nazuk daali

berg mausam mein na'gahaan tootay
jesay aankhon mein khwab ki dori

waqt-e-takmeel main ulajh ja'ay
jesay paer'on talay say niklay zameen



jesay ser pay yeh aasmaan tootay
jesay ik shaakh pay bharosa kya

ous pay jitnay thay aashiyaan tootay
jesay wehshat say hosh a ja'ay

jesay taa'dair mein dhayan tootay
ab jo raiega hotay to sochtay hain

kis nay daikha tha toot'na apna...
ham jo tootay to raaigaan tootay...!!!


************


Writer: Chandni verma


tu mere naseeb mai nahi tha

warna faasla itna bhi nahi tha,

chahti to tujhe hassil kar sakti thi main

magar dil zabardasti par razi nahi tha,

tu aaya tha kisi shahzadon ke des se

tu apne shehar ka lagta bhi nahi tha,

tune uske liye mere pyar ko thukra diya tha

jisne tujh ko kabhi chaha hi nahi tha,

haan ! sach hai, humne teri qadar ki

magar tu iss tawwajjo ke qabil hi nahi tha......

chandni


***************



Tum aik ajeeb sa asar rakhte ho

Mere dil ki har pal khabar rakhte ho

Shayad k hum tumhein bhol jate

Par tum yaad aane ka hunar rakhte ho


*************


umar bhar chaha ke zamin-o-aasmaan humara hota

kash ke khwaahishon ka bhi koi kinara hota,

ye soch kar us musafir ko roka hi nahi

door jata hi kyun agar wo humara hota....


**************